Heere moti main na chahoon,
Main to chahoon sangam tera,
Main to teri saiyaan,
Tu hai mera.
Saiyaan, saiyaanaaan...
Tu jo chhoo le pyaar se,
Aaraam se mar jaaun.
Aaja chanda baahon mein,
Tujhmein hi gum ho jaaun main,
Tere naam mein kho jaaun.
Saiyaan, saiyaaaaaaan...
Mere din khushi se jhoomein, gaayein raatein,
Pal-pal mujhe doobaayein jaatein, jaatein.
Tujhe jeet-jeet haaroon,
Yeh pran-pran vaaroon.
Haaye, aise main nihaaroon,
Teri aarti utaaroon.
Tere naam se jude hain saare naate,
Saiyaan, saiyaannnn...
Yeh naram-naram nasha hai badhta jaaye,
Koi pyaar se ghunghatiya deta uthaaye.
Ab baawara hua mann,
Jag ho gaya hai roshan.
Song-Saiyyan
Singer- Kailash Kher
Music Label- SonyMusic India
Lyrics- kailash kher, Paresh Kamath, Naresh Kamath
Track- 05:09