Kabhi Mera Tha Par Ab Begana Lyrics

Kabhi Mera Tha Par Ab Begana Lyrics

Gajendra Verma


Home > Gajendra Verma > Kabhi Mera Tha Par Ab Begana Lyrics

Kabhi Mera Tha Par Ab Begana Song Lyrics

  • English
  • Hindi

Saari raat aahein bharta

Pal pal yaadon me marta

Maane na meri mann mera

Thode thode hosh madhoshi si hai

Neend behoshi si hai

Jaane kuch bhi na man mera

Kabhi mera tha par ab begana hai ye

Deewana deewana samjhe na ho…

 

Kabhi chup chup rahe

Kabhi gaaya yeh kare

Bin poochhe teri taarife sunaya yeh kare

Hai koi Haqiqat tu ya koi fasana hai

Kuch jaane agar to itna ke

Yeh tera deewana hai re

Mann mera, maane na mann mera

 

Rag rag woh samaya mere

Dil par woh chhaya mere

Mujhme vo aise jaise jaan

Gire barsaat me paani jaise

Koi kahaani jaise dil se ho dil tak jo bayaan

Aashiq dil tera puraana hai ye

Deewana deewana samjhe na ho…

 

Kabhi chup chup rahe

Kabhi gaaya ye kare

Bin poochhe teri taarife sunaya yeh kare

Hai koi haqiqat tu ya koi fasana hai

Kuch jaane agar to itna ke

Yeh tera deewana hai

Re mann mera, mane na mann mera

 

Tujhko jo dekhe, ye mujhko leke

Bas tere peeche peeche bhaage

Tera junoon hai, tu hi sukoon hai

Tujhse hi baandhe dil ke dhaage

 

Kabhi chup chup rahe

Kabhi gaya yeh kare

Bin poochhe teri taarife sunaya yeh kare

Hai koi haqiqat tu ya koi fasana hai

Kuch jaane agar to itna ke yeh tera deewana hai

Re mann mera … mane na mann mera...

 Kabhi Mera Tha Par Ab Begana Video Song

Kabhi Mera Tha Par Ab Begana Lyrics Info

Song - Kabhi Mera Tha Par Ab Begana

Album- Mann Mera

Singer- Gajendra Verma

Music- Gajendra verma

Lyrics - Aseem Ahmed Abbasee

Label - Eros Now Music

Track - 3:05